Saturday, December 3, 2011

Maine Nahi Pi Maa

Theme :-  This poem is based on the son who was obeying her mom wish which was not to drink in the parties but he died because someone was drunken and hit him with his car

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa

Phir bhi dekh na maa yeh kya ho gaya
Party se nikalte hi ek car ne mujhko ghayal kar diya
Geera main aise , bilkul football ke jaise
Sharir pe mere dekho rakht hai bhara, meri maa

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa

Jab geera main toh bus tu yaad aayi
Woh pi ke maar gaya , saari public chillayi
Kyu piya tha usne ,kya kiya tha maine
Ab nahi bachuga shayad , o meri maa

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa

Dard ho raha hai ,main ab kya karu
Sharir ko jaise cheel diya hai, usey kaise main bharu
Tu sach kehti thi maa,yeh peena to hai bahut hi buri bala
Maine suni teri har baat ,phir bh kyu woh mujhe pi ke maar gaya

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa

Bhai ko dena mere bahut hi jyada pyaar
Papa ko bh keh dena wo they sabse aache yaar
Koi uthao mujhe milwa do tujhse, tu hai kahaan
Aankhein band ho rahi hai, dikh nahi raha mujhe ab yeh jahaan

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa


Composed by Aamit
________________________________________________

Khuda Ke Bande –Kitne Changey


Khuda khud aata nahi
Khuda khud kehta nahi
Woh to bhejta hai banda
Jo lagta hai sabko changa

Us bande ki baaton mein tu , kho sa jayega
Bin kahe hi tu kuch ,uska ho sa jayega

Chuu jayegi uski baatein tere dil ko, bina kuch kahe
Sochne lagega uski baaton ko tera dimaag, bina kuch kahe
Aankhon mein uski tujhe khuda hi khuda nazar aayega
Sar tera uske saamne khud-b-khud jhunk sa jayega

Us bande ki baaton mein tu , kho sa jayega
Bin kahe hi tu kuch ,uska ho sa jayega

Jo tune kar liya uski baaton pe haan amal
Phir dekhna tera prayaas kabhi jaayega na wifaal
Tujhko bhi haan phir zamana bulaayega
Sunega teri baaton ko aur tujhe dil me basaayega

Us bande ki baaton mein tu , kho sa jayega
Bin kahe hi tu kuch ,uska ho sa jayega

Khuda khud aata nahi
Khuda khud bolta nahi
Woh jo bhejta hai banda
Samajh gaya na ki woh kitna hai changa

Us bande ki baaton mein tu khud se kho jaana
Bin kuch kahe hi tu uska khud se ho jaana

Composed by Aamit

________________________________________

Thursday, August 25, 2011

Chadar Khuda Ki


Kabhi neeli chaadar keh ke dharti mujhe odh le
Kabhi geeli chadar ban ke main dharti ki pyaas bhujha du
Kabhi suraj ki agan ko main apne seene se jaga du
Toh kabhi chaand ki chandni ko main nadiyon me jagmaga du

Faila hu waha tak , jaha talak tu dekh sakta hai
In panchi ko , in baadalo ko , in peddo ko
Maine hi to panaah di hai

Sitare hai meri nabz aur dil mera sirf yeh chaand hai
In hawaon ko  , in fizaon ko , in ghataon ko
Maine hi to raah di hai

Kabhi shwetambar ban jaata hu
Toh kabhi neelambar kehlaata hu
Kabhi khud ko kala kar ke dusro ko sulata hu
Toh kabhi khud ro kar dusro ko hasata hu

Chahe koi dekhe na dekhe , mujhe sab dikh jaata hai
Woh khoon – kharaba , woh balatkaar , woh  pedd  katna
Meri nigahon se chup nahi paata hai

Sochta hu ki jo sadiyon pehle nazarein they
Woh pyaar , woh apnapan , woh sukoon
Mera aaj yeh dil kyu dekh nahi paata hai ???

Composed by Aamit

---------------------------------------------------------------------------------------------

Tuesday, August 16, 2011

Mere Desh Ki Katha

Hi Friends ,

This poem " Mere Desh Ki Katha " is on the present situation of our country as corruption is making our country down .

Now the time has come when we have to join together and fight for it else our country will remain the same as i have wrote in this poem.

Please do something for our country :-


                Mere Desh Ki Katha

Khilata , main khilata , main khilata chala gaya
Kabhi police ko , kabhi sarkari sevak ko , kabhi safed topi wale ko main khilata chala gaya

Socha tha maine ki nahi khilauga kuch bhi
Par wey to nikle yaar cricket ke balle ke jaise
Ball samjha mujhe aur laga diye chauke - chakke  jam ke
Pehle one day cricket khilaya phir test ki tarah bola five days me aap aana phir se

Chakkar , main chakkar , main chakkar lagata chala gaya
Kabhi office ke , kabhi authority ke , kabhi netaon ki kursi ke main lagata chala gaya

Toot gaye mere paragon ke majboot chappal bhi
Tabhi maine dekha paas khade aadmi ne pakdaya  hazar ka note
Aur kaam kara ke chal diya jaise de diya ho netaon ko unka vote
Tab samajh aaya mujhe india mein kaam karane ka tarika

Pilaata , main pilata , main pilata chala gaya
Kabhi chaprasi ko , kabhi police afsar ko , kabhi netaon ko main pilata chala gaya

Dekhta hu phir ghode ke paav lag gaye mere kaam pe
Jo kal tak rooka tha , aaj poora ho gaya aaram se
Paise to kharch hue par sharir to bach gaya
Wo chaar kilo jo  khoya tha chalte chalte , phir se sharir mein wapas bus gaya

Gaata , main gaata , main gaata chala gaya
Kabhi chaplusi , kabhi kaam karane ki khushi , kabhi aam aadmi ki zindagi ke geet gata chala gaya

Aam hai hum , aam ki tarah rehna padega
Kaam hai kum , unke paas unhe raza ki tarah sehna padega
Jo na saha tune to woh bahut chakkar katwayege
Aam ka ek – ek boond ras woh maaza samajh ke pi jayege

Phir baithe rehna aur jaana  bhagwaan ke paas
Kehna ki koi sunta nahi is desh mein sab hai paiso ke das
Waha bhi tujhse pujari yahi bolega
Agar kuch maangna hai to , kam se kam  chadha rupaiye pachas

Haan yahi india hai mera , jaha har kaam ke liye hoti paiso ki ardaas
Ab koi to kadam badhao yaaro aur  badal to  mere bharat ka itihaas

Haarta , main haarta , main haarta chala gaya
Kabhi bhrastachar se , kabhi atyachaar se , kabhi jhooth ke prahaar se main haarta chala gaya

Composed by Aamit

Monday, August 15, 2011

Murga Bola

Hi Friends

This poem " Murga Bola " is on the theme what a cock think at the shop of buther ( Kasai ) ,

Hope u all will agree with me on this , Read and comment


                  Murga Bola

Kehta hai murga kukad – koo karte hue
Kasai ki dukaan pe maut ki aahein bharte hue

Ab meri baari hai
Katne ki taiyaari hai , ab meri baari hai

Ja raha dekho mera dost mujhse pehle katne ke liye
Dhar chali churi ki aur kat gaya uska sar
Meri to aankhein choti hai dekh ke seham gayi
Par insaano ki haiwaniyat ne kisi ki bhi na suni

Gujarish bus itni si , ki usko na insaan tu itna sata
Gardan alag ho gayi uski , par ab jism ko na tu chil ke tadpa
Koi aisa tarika nikal jisse hum churi lagne se pehle hi marr jaye
Uska aisa haal dekh ke ab mera dil sirf yahi gaaye

Ab meri baari hai
Maut  ki taiyaari hai , ab meri baari hai

Koi baat nahi yaar , ho gaya ab main bhi katne ke liye taiyaar
Jauga main peth mein logo ke aur banuga unka aahar
Tariff karege meri jab woh khayege mujhe jam ke
Chalo kisi ke to kaam aauga main to haan maar ke

Shukar karuga insaano ka , ki mujhe is zindagi se aazaad karaya
Par ek baat hai , kya kabhi unke dimaag mein yeh na aaya
Ki aaj to wey  insaan hai , agle janam mein kahi na wey hi murge ban jaye
Aur phir meri tarah yahi geet wey dohraaye

Ab meri baari hai
Upar jaane ki taiyaari hai , ab meri baari hai

Chalo aa gaya mera waqt katne ka  yaar
Dua karuga ki bhagwaan na banaye tujhe murga aur na hi tu ye geet meri tarah gaye baar baar

Ab meri baari hai
Insaan ke pet mein jaane ki taiyaari hai , ab meri baari hai

Composed by Aamit

---------------------------------------------------------------------------------------------------



Thursday, August 4, 2011

Mujhe Bhi Dard Hota Hai

Hi Friends,

Daily crores of trees are cut and been used for many purposes , i had tried to write this poem on behalf of a tree, hope you all will like this

Mujhe Bhi Dard Hota Hai

Mere haatho roopi daali ko kaata
Mere pairo roopi jaron ko kaata
Kaat ke palang banaya
Darwaje banaye aur ghar me show case bana ke mujhe sajaya

Jaan nahi bejaan hu yeh kehte hai sab
Insaan nahi kaagaj banana wala samaan hu yeh kehte hai sab
Kaun samjhaye ki jaan nahi hoti to kaise main badhta
Phool aur fal dekar kaise main sabka peth bharta

Haan woh bhool gaya  mujhme jaroor aawaz daalna
Par iska matlab nahi usko main yaad nahi
Dekh raha wo upar se mujhe katthey hue
Baccho ki kitaab aur mujhse hi apna mandir bante hue

Pedd hu pedd ki aawaaz, to sirf wahi sunta hai
Chalti jab mujhpe kulhariyan , to sirf wahi rota hai
Kehta hai kaisa maine tujhko dard diya
Aawaaz to le li aur apne hi insaano se katne ka sard diya

Kabhi koi sune teri to unhe yeh batla dena
Jo tu khatam ho gaya duniya se to ye shristi ne bhi nahi bachna
Chahte hai wey jeena to tere saath hi hoga
Tu khatam ho gaya to unka ghar bhi kabhi aabad na hoga

Bolna unhe tumhe kharonch bhi lage to kaise dard hota hai
Yaha to dard ke saath saath mera bin bolne wala dil bhi rota hai
Main chala jauga nahi to ek din yaha se door
Phir tum bhi aana mujhse milne swarg me jaroor

Haan main kaala hoon par dil ka kaala nahi
Tumne kaanta mujhe par main tumhe kaatuga nahi
Waha bhi tumhe main aise hi phool aur fal duga
Tum ek baar pyaar se bolna , main phir se tumhare saath dharti pe chal duga

Composed by Aamit

------------------------------------------------------------------------------------






Tuesday, August 2, 2011

Paisa - Ek Naag

Hi Friends,

This poem is on the theme that money is not everything .....

Money takes many things from you , please read it and comment if you like


Paisa – Ek Naag

Paise ke piche mat bhaag
Paisa to hai jaise ek naag
Jitna fann woh failayega
Tu fasta chala jayega

Ek baar fus gaya to phir wapas nahi aayega
Paisa paisa bus paisa karta jayega

Yeh bahut jehrila hai
Yeh bahut nashila hai
Jhooth ka paath padhata hai
Apno se door karata hai

Waqt ko khaata jaata hai
Ghar-baar kuch samajh nahi aata hai
Saala jitna bhi aata hai
Mann bhar nahi paata hai

Paise ke piche mat bhaag
Paisa to hai jaise ek naag
Jitna fann woh failayega
Tu fasta chala jayega

Ek baar fus gaya to phir wapas nahi aayega
Paisa paisa bus paisa karta jayega

Jitna tu sharam ko bechega
Utna hi dusro se isey aithega
Chaplusi  ki duniya ka baaza hai
Aur politician ke ghotalo ka raaza hai

Jitna tu isey kamayega
Utna hi sharir se haath dho jaayega
Kasam se isse aish to milte hai
Par zindagi mein tention ke phool bhi jaroor khilte hai

Paiso ke piche mat bhaag
Paisa to hai jaise ek naag
Jitna fann woh failayega
Tu fasta chala jayega

Ek baar fus gaya to phir wapas nahi aayega
Paisa paisa bus paisa karta jayega

Hum bhool gaye hai ki
Naag bhi ek din marta hai
Woh apna sharir chodh kar
Upar bhagwaan mein hi wapas basta hai

Bus yeh sochna jara dil se
In paiso ki bori ko kaise tu upar le kar jayega
Kuch nahi le kar aaya tha
Phir kaise tu kuch le kar jaayega

Paise ke piche mat bhaag
Paisa to hai jaise ek naag
Jitna fann woh failayega
Tu fasta chala jayega

Ek baar fus gaya to phir wapas nahi aayega
Paisa paisa bus paisa karta jayega


Composed by Aamit

-----------------------------------------------------------

Monday, August 1, 2011

Waqt Badal Jayega

Hi Friends,

This Poem " Waqt Badal Jayega " is on the theme that time always change , if you are in sorrow today one day happiness will come surely in your life.

Please read and comment if you like this

Waqt  Badal Jayega

Sab kuch likha hai yaha pe
Tere har khushi ka pal
Tere gum ka har sitam

Tu jo bhi hai kare
Woh dekh raha waha
Sochta hai tu ki phir kyu  aanshu  barsa raha yaha

Par woh  bhi kya kare
Yeh tera naseeb hai
Pichle janam ka karam , tera badnaseeb hai

Mat kho na itna inme
Yeh paani hai , sukh jayege
Na bhi sukhe to haan moti kehlaayege

Kal phir woh waqt aayega
Jab tu khush ho jayega
Phir dekhna kaise tu usey apna banayega

Aise hi to zindagi yeh seekh deti hai
Ki tu yaha koi akela nahi
Aur Khud ko samjhaane ka ek geet deti hai

Is geet ko tu hosholo se gaata chala jaa
Phir dekhna khushi ka rukh mud chalega
Aur pyaar se tu har kisi ko  jeet chalega 

Composed By Aamit

----------------------------------------------------------------

Saturday, July 30, 2011

Khuda Bolta Hai

Hi Friend,

Who said that God doesnt speak , just close your eyes and remember him ....

You will hear the sound that i wrote in my poem , Read it on

“ Khuda Bolta Hai “

Main manzil bhi hu , Main kinaara bhi
Main saathi bhi hu , Main sahaara bhi
Mere darr pe jo aaya ,woh mera ho gaya
Mujhe dil mein jisne basaya,main uska ho gaya

Kyu yaad karte ho sirf tum mujhe dukh mein
Kyu dhundte ho tum mujhe yaha waha

Main to hoon ,Saagar ki leheron mein
Baarish ki boondon mein,Phoolon ki khusbu mein
Pyaar ke jaadu mein,Hawa ki san-san mein

Phir bhi agar tujhe main na miloon
Toh bus aankhein band karna aur dil se karna mujhe yaad

Main doonga tere har sawaal ka jawaab
Main lauga har khushi ko tere pass

Bus guzaarish hai tujhse ,ki do pal mujhe de dena
Kyuki main akela hoon,main akela hoon
Aur mujhe saara jagg hai dekhna

Composed By Aamit

---------------------------------------------------------

Friday, July 22, 2011

Aids , Mujhe Kyu

Hi Friends,

This poem " Aids, Mujhe Kyu " is on a small boy suffering from Aids and asking to everyone what was his fault .......

Hope u all like this


AIDS , Mujhe Kyu


Baccha hoon main , Saccha hoon main
Par zindagi se thoda Kaccha hoon main
Dekhe har koi mujhe, par pass na aaye
Kehte hai sub, AIDS ka mareez hoon main

Pata nahi mujhe, yeh Aids kya hota
Par jo bhi hota, bahut bura hota
Koi mujhse milta nahi, koi saath khelta nahi
School bulata nahi , waqt tham jaata kahi

Maa se kehta hoon jab , doctor banna mujhe
Thoda padhna mujhe, thoda khelna mujhe
Sun kar jaane kyu, aankhein uski bhar jaati hai
Ro- ro kar, woh mujhe bus yeh samjhaati hai

Main hoon thoda alag, main hoon thoda juda
Meri zindagi ka maalik , toh hai bus woh khuda
Doctor bhi kehta hai , ab mere pass hai do –chaar din
Maa kehti hai , ab kaise rahugi main tere bin

Ro mat o maa , wapas aauga main
Khuda se mil kar ,usey samjhauga main
Mujhe bhej de dubara, haan tu maa ke pass
Par saath mein na bhejna,yeh Aids ka ehsaas

Baccha hoon main , Saccha hoon main
Par zindagi se thoda  Kaccha hoon main


Composed by Aamit
------------------------------------------------------------------

Tuesday, July 19, 2011

Hare Hare Note

Hi Friends,

This poem  " Hare Hare Note " is on the real incidence when i have seen  in a famous temple that sewaks are not allowing common mens , u can say aam aadmi to enter in the temple after 12 PM as its god sleeping time according to them,

But suddenly a VIP enter into the temple by giving  them Notes , does that means VIP can do anything with money

Hope u all like this poem

Hare Hare Note

Chahe mandir ho raha band
Chahe bhagwaan ho rahe tang
Phir bhi khulega unka darwaja
Agar tu hai VIP aur dega sewako ko

Hare hare note
Sau – hazar ke note

In noto ki taakat hai unki kripa se bhi badi
Darshan AC mein ho jaate , chahe aam janta dhoop mein hai khadi
Pujari bhi hash ke do baar prashad deta hai inko
Kyuki badle mein mil jaate hai unhe

Hare hare note
Sau – hazar ke note

Moh maaya mein pade apne sewako ka haal dekh kar
Kya pata waha bhagwaan bhi pareshaan hoge
Sochte hoge mere sewak naam to mera lete
Par bhool jaate hai mujhko jab unhe sab hai dete

Hare hare note
Sau – hazar ke note

Ab kaun unhe samjhaaye ,gaya unka ab jamana
Paisa hi  bhagwaan , yahi  aaj ka hai tarana ( Geet )
Phir bhi unko is kalyugi duniya mein apna naam hai kahelwana
Toh aashirwaad ke badle mein dene parege unhe ab

Hare hare note
Sau – hazar ke note


Composed by Aamit

-------------------------------------------------------------------------------------











Thursday, July 14, 2011

Mumbai Blast - Hope Its Last

Hi Friends ,

This poem is on the recent incidence of blast in mumbai that was done by terrorist . Hope u will like this .............................................................................................................


Mumbai Blast – Hope Its Last


Wo maarte ja rahe hai

Hum marte ja rahe hai

Aanshu baraste ja rahe hai

Aur wo jaalim haste ja rahe hai



Maar ke bhi unko kisi ka darr nahi

Ye bharat , jaise unka ghar yahi

Fass bhi gaye to karoro kharch karate hai

Kasab ke jaise indian jailo mein shaan se jeete jaate hai



Aur humhaare desh ki media ke hai kya kehne

Jaha dekha masala , waha laga usey apna kehne

Nayi khabar aate hi wey purani bhool jaate hai

Breaking news keh keh kar dusre channels se bada khud ko batate hai


Mumbai nagri ka aaj tha ek kaala din

Jaane kitne ro rahe hai apno ke bin

Dekho ye bacha kaise dusro se lipat ke soya hai

Mata pita ko kho kar gamo me khoya hai

\
Aawaz jo sarko pe har waqt aati thi

Aaj sannato ki galiyo mein khoti jaati hai

Mausam jo har waqt zindagi ki gawahi deta tha

Aaj maut ko khade khade salami deta hai


Waqt aa gaya hai ab humhe saath chalne ka

Dusmano  ko haath se masalne ka

Bhoolna nahi hai ab humhe is haadse ko

Warna phir se aayege aur kahege wo


Hum maarte jaa rahe hai

Tum marte jaa rahe ho

Goliyaan barsaate jaa rahe hai

Aur tum darte jaa rahe ho



Composed by Aamit


----------------------------------------------------------------------------------




Sunday, July 10, 2011

Mujhe Tention Ne Maara


Hi Friends,

This poem i have wrote for those who have always tention in mind for money , home , love etc and believe that by taking tention all things will be resolve but they forget that by doing this they are loosing their health . Dont take tention , Always live life happily and leave thing on god

So here is the poem , read and comment


Mujhe Tention Ne Maara

Kyu chinta kare
Kyu tu roz mare
Jab marna hai ek din

Kya le jaayega
Kaise tu ghar aur paise uthayega
Jab jaana hai inke bin

Dekh tere bacche hai , kitne acche hai
Biwi tere paas hai , phir kyu tu udaas hai
Fast – Fast  heartbeat teri , sabse hai keh rahi
Lost – Lost  saansein teri , sabse hai keh rahi

Upar wale ke bulaane se , tu pehle hi chala jayega
Maut aane se pehle , tu tention se hi marr jayega

Jo jab hona hai , so sab hona hai
Khuda usme shaamil  hai , phir kis baat ka rona hai
Bache  hai tere paas , ab zindagi ke chaar pal
Har pal khush reh , kyu bigaad raha apna kal

Marizo ki geenti mein , ek tu bhi shaamil ho raha
Haathon mein injection liye , dekh doctor teri yaad me kho raha
Jawaani mein boodhi hoti rooh teri , sabse hai keh rahi
Samay se pehle parti jhooriyan teri , sabse hai keh rahi

Upar wale ke bulaane se , tu pehle hi chala jayega
Maut aane se pehle , tu tention se hi marr jayega

Family ka tu hai dulaar
Dekh sabko tujhse kitna hai pyaar
Aur kisi baat ki nahi di usne kami

Khush ho ja ,tu na yaar
Mar  na tu , ab baar baar
Jab jeeni hai ek hi zindagi

Phir dekhna rooh teri jawaan aur jhooriyan door ho jayegi
Aur  tab teri saansein aur dhadkaan sirf yahi gaayegi

Uparwale ke bulaane ke baad bhi , tu nahi jaayega
Tention aane se pehle , tu usko hi kha jaayega

Composed by Aamit

----------------------------------------------------------------------------------------            


Wednesday, June 22, 2011

Maang Raha Kyu Itna


This Poem “  Maang Raha Kyu Itna “ is based on the theme that we always pray to god that give us more money and sometime we curse god that you have given him/her everything but you haven’t gave us anything.

This poem gives the message that god has given us everything that he create and gave to everyone , he has given us good health , all parts of body which has more value than money but we still creep to god to give us more money  but we forgot that god has not made money , its us who has created money.

Think if we have to go for duplicate eyes , teeth , hand , etc we have to spend crores of money in it that means god has given us crores of rupees in terms of our body.

So, here is the poem which will give us the indication that we got everything .

Hope you all will like it and will realize that how much value our body have



    Maang Raha Kyu Itna


Bhagwaan ne sab kuch diya
Phir bhi tu hai maang raha
Maangta hai kuch aise
Jaise woh phansi pe taang raha

Maana ki nahi hai tere paas aaj paiso ka saath
Par mat bhool ki usne diye tujhe kam se kam do crore ke haath
Chaar crore ki aankhein aur dus crore ke pair
Ek dil bhi diya hai anmol , jo karata har duniya ki sair

Soch jara agar woh tujhe de deta dus crore ka inaam
Aur badle mein le leta aankhein aur kar deta haath ka kaam tamaam
Phir kya karta un paiso ka
Jara ye to soch ke bata

Bhagwaan ne sab kuch diya
Phir bhi tu hai maang raha
Maangta hai kuch aise
Jaise woh phansi pe taang raha

Kabhi waqt mile to jaana kisi bin aankhein walon ke paas
Woh batayege tujhe ki aankhein hoti kitni khaas
Paise unke liye kuch nahi
Bus wey maangte do pal duniya dekhne ki aas


Khush ho ja kyuki usne rakha tera aaj sab kuch salamaat hai
Paise nahi to kya hua , sharir ki to acchi haalat hai
Aur phir bhi paisa kamaana hai to khud pe tu vishwaas rakh
Koshish karta ja aur khud ko kabhi bhi kisi se na chota samajh

Bhagwaan ne sab kuch diya
Ab aur na usse kuch maang
Phir bhi maangna hai toh
Sirf maang le usse aashirwaad aur bhakti ka rang


Composed by Aamit

--------------------------------------------------------------------

Sunday, April 24, 2011

Chaand Aur Sapne


Hello Friends,

This Poem “ Chaand Aur Mere Sapne “ is based on the theme of Ramdhari Singh Dinkar ‘s Poem “ Raat ko kehne laga mujhse gagan ka chaand “ .

This poem give us the message that Don’t stop dreaming because if your dreams are true & u have full believe in it, it will happen in real .

Its true that many obstacles will come in your life and many people will demoralize you about your dream like in this poem Moon is doing this but don’t believe them , just believe in you and your god and trust me one day it will be fulfilled

Hope you will like this poem , awaits your valuable comments on this


 Chaand Aur Mere Sapne


Sapno ko peeron raha tha main
Chandni mein hosholo ke dhaagon se

Tabhi maine dekha chaand ko
Apni aur tuktuki laga kar dekhte hue
Muskura raha tha woh
Mooh bana raha tha woh
Jaise mere sapno pe bada sa ankush laga raha tha woh

Nazarein jab mili humhari , to kehne laga mujhse
Maine dekha hai bahuto ko aate aur jaate hue
Maine dekha hai bahuto ko sapne banate aur bhulaate hue
Tu kyu meri chaandni se roz murakh jaisi baat karta hai
Aey sapno ke baazigar kyu roz roz tu inhe dekh kar marta hai

Dekhta hoon tujhe jab bhi main is kadar inme doobte hue
To lagta hai jaise kisi fakeer ko chahat hai dekhne ki khuda
Soch jara agar khuda mil jaata is kadar dekhne se sapne
To aaj dharti pe har ghar mein lag jaata sapno ka aasmaan

Chaand ki baatein sunkar maine bhi usey keh diya
Kyu khush hota hai itna , tune bhi to kabhi tha ek sapna dekha
Tujhe khubsurat , Haseen aur Kohinoor kehne wala tha koi apna dekha
Aur dekh aaj har koi tujhe in naamo se bulata hai
Par jaane kyu tu unhe bhula ke ahankaar ke baadalo mein doob sa jaata hai

Mat bhool chaand , fakeer ki takdeer bhi to wahi khuda hi likhta hai
To kya hua asal mein nahi , par dil mein to roz woh mujhe dikhta hai
Aur jis dil mein woh rehta hai , usme hi to base hai swapn mere
Vishwaas hai mujhe ki ek din yeh poore hoge jaroor
Phir dekhna tu bhi kahega sapne poore hote hai aur rahega hamesha saath mere


Composed By Aamit

-------------------------------------------------------------------------------------

Sunday, April 10, 2011

Mere Desh Ko Bacha Lo

Hello Friends,

This poem “ Mere Desh Ko Bacha Lo “ is on the theme that Gandhiji has come on earth again in body of Anna ji to save our country from corruption.

We get freedom when we were slaved by Foreigners but now our own people are making us slave and corruption is the main cause of it .

So here is the poem , hope you all will read and comment on this and pass on to your friends  if you like



      Mere Desh Ko Bacha Lo


Gandhi ji ne janam liya hai dobara
Anna ji ke roop mein laga rahe hai naara

Bharastachaar band karo , band karo bhrastachaar
Upkaar yeh desh pe karo , desh pe karo yeh upkaar

Maine aisa to yeh desh nahi choda tha
Pehle kabhi apno ne hi yeh desh aisa to nahi toda tha
Bhrastachaar ki mehak upar tak hai mujhe aayi
Khinch ke yeh mujhe wapas dharti pe le aayi

Ghuma main bharat mein idhar udhar , to dekhta hu kya
Noto pe main hi chappa hu , aur mujhe hi bechte hai sab yaha waha
Bus ek sawaal hai – Zameer aur Aatma ko maar ke desh kaise bachaoge
Bacha lo warna ek din taash ke paaton ki tarah udte nazar aaoge

Bharastachaar band karo , band karo bhrastachaar
Upkaar yeh desh pe karo , desh pe karo yeh upkaar

Samajh na akela humko oh bharastachaari , hum aaj bhi hai ek
Dekhna ek – ek ho kar hum jaane kab ban jayege anek
Jitna bhi ho bada bhrastachaari , ab wo desh bech na paayega
Aur jo phir bhi koshish ki to , is desh se bhaga diya jayega

Hum aam aadmiyon ko dhool samajh kar , woh har waqt khane ko taiyaar hai
Bhool mat , jab sab dhool aapas me milti hai , to wo desh ki maati ka ek ambaar hai
Sar uthake , bhook mitake , ab na hum kadam piche hatayege
Maut dobara bhi aa jaye , tab bhi mere baad mere jaise dusre Gandhi aur aayege

Bharastachaar band karo , band karo bhrastachaar
Upkaar yeh desh pe karo , desh pe karo yeh upkaar

Jab bhi desh pe hoga atachaar , main wapas aauga
Aur apne desh ko phir se gulaam hone se bachauga
Saath hai sabka mujhe , koi ab kuch ka na kar payega
Mere saaath ab Bharat ka har baccha ye hi  naara lagayega

Bharastachaar band karo , band karo bhrastachaar
Upkaar yeh desh pe karo , desh pe karo yeh upkaar


Composed by Aamit