Wednesday, July 24, 2013

Jab Tak Balla Chalta Hai


 

Jab tak balla chalta hai
Tab tak halla machta hai
Jis din tera balla shaant hua
Us din samjho sansaar tujhse ashaant hua

Jo kal tak tujhe shabhashi dete they
Aaj wey tujhse mooh churayege
Saamne to nahi par peeth piche
Kaam ka na raha , keh ke tujhe apni baton ka hissa banayege

Shayad phir tu sochega ki tune kya  paaya kya khoya
Jinko tune apna samjha tha , aaj tu unki baaton pe kitna roya
Ye unka kasoor nahi , kasoor to hai Is kaam ka
Jisne tune naam dilaya aur tera balla rukne ke baad kiya tujhe benaam sa

Jab tak balla chalta hai
Tab tak halla machta hai
Jis din tera balla shaant hua
Us din samjho sansaar tujhse ashaant hua

Sochna ab tujhe hai ki aage kya karna hai
Balle me phir se ufangi bharni hai
Duniya me phir se khade hona hai
Ya phir aise hi khud ko upar jaata dekh dekh ke marna hai

Misaal ban jayega tu har un logo ke liye
Agar khud ko tune maut wale bhagwaan se hai jeet liya
Maar bhi gaya to kya hua jaalim
Khud ko wapas khade karne ki koshish ka ehsaas to saath le jayega

Jab tak balla chalta hai
Tab tak halla machta hai
Jis din tera balla shaant hua
Us din samjho sansaar tujhse ashaant hua

Composed by Aamit

------------------------------------------------------------------------