Tuesday, August 16, 2011

Mere Desh Ki Katha

Hi Friends ,

This poem " Mere Desh Ki Katha " is on the present situation of our country as corruption is making our country down .

Now the time has come when we have to join together and fight for it else our country will remain the same as i have wrote in this poem.

Please do something for our country :-


                Mere Desh Ki Katha

Khilata , main khilata , main khilata chala gaya
Kabhi police ko , kabhi sarkari sevak ko , kabhi safed topi wale ko main khilata chala gaya

Socha tha maine ki nahi khilauga kuch bhi
Par wey to nikle yaar cricket ke balle ke jaise
Ball samjha mujhe aur laga diye chauke - chakke  jam ke
Pehle one day cricket khilaya phir test ki tarah bola five days me aap aana phir se

Chakkar , main chakkar , main chakkar lagata chala gaya
Kabhi office ke , kabhi authority ke , kabhi netaon ki kursi ke main lagata chala gaya

Toot gaye mere paragon ke majboot chappal bhi
Tabhi maine dekha paas khade aadmi ne pakdaya  hazar ka note
Aur kaam kara ke chal diya jaise de diya ho netaon ko unka vote
Tab samajh aaya mujhe india mein kaam karane ka tarika

Pilaata , main pilata , main pilata chala gaya
Kabhi chaprasi ko , kabhi police afsar ko , kabhi netaon ko main pilata chala gaya

Dekhta hu phir ghode ke paav lag gaye mere kaam pe
Jo kal tak rooka tha , aaj poora ho gaya aaram se
Paise to kharch hue par sharir to bach gaya
Wo chaar kilo jo  khoya tha chalte chalte , phir se sharir mein wapas bus gaya

Gaata , main gaata , main gaata chala gaya
Kabhi chaplusi , kabhi kaam karane ki khushi , kabhi aam aadmi ki zindagi ke geet gata chala gaya

Aam hai hum , aam ki tarah rehna padega
Kaam hai kum , unke paas unhe raza ki tarah sehna padega
Jo na saha tune to woh bahut chakkar katwayege
Aam ka ek – ek boond ras woh maaza samajh ke pi jayege

Phir baithe rehna aur jaana  bhagwaan ke paas
Kehna ki koi sunta nahi is desh mein sab hai paiso ke das
Waha bhi tujhse pujari yahi bolega
Agar kuch maangna hai to , kam se kam  chadha rupaiye pachas

Haan yahi india hai mera , jaha har kaam ke liye hoti paiso ki ardaas
Ab koi to kadam badhao yaaro aur  badal to  mere bharat ka itihaas

Haarta , main haarta , main haarta chala gaya
Kabhi bhrastachar se , kabhi atyachaar se , kabhi jhooth ke prahaar se main haarta chala gaya

Composed by Aamit

No comments:

Post a Comment