Saturday, December 3, 2011

Maine Nahi Pi Maa

Theme :-  This poem is based on the son who was obeying her mom wish which was not to drink in the parties but he died because someone was drunken and hit him with his car

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa

Phir bhi dekh na maa yeh kya ho gaya
Party se nikalte hi ek car ne mujhko ghayal kar diya
Geera main aise , bilkul football ke jaise
Sharir pe mere dekho rakht hai bhara, meri maa

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa

Jab geera main toh bus tu yaad aayi
Woh pi ke maar gaya , saari public chillayi
Kyu piya tha usne ,kya kiya tha maine
Ab nahi bachuga shayad , o meri maa

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa

Dard ho raha hai ,main ab kya karu
Sharir ko jaise cheel diya hai, usey kaise main bharu
Tu sach kehti thi maa,yeh peena to hai bahut hi buri bala
Maine suni teri har baat ,phir bh kyu woh mujhe pi ke maar gaya

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa

Bhai ko dena mere bahut hi jyada pyaar
Papa ko bh keh dena wo they sabse aache yaar
Koi uthao mujhe milwa do tujhse, tu hai kahaan
Aankhein band ho rahi hai, dikh nahi raha mujhe ab yeh jahaan

Tune jaisa kaha maine waisa kiya, meri maa
Maine nahi piya maine nahi piya , meri maa


Composed by Aamit
________________________________________________

Khuda Ke Bande –Kitne Changey


Khuda khud aata nahi
Khuda khud kehta nahi
Woh to bhejta hai banda
Jo lagta hai sabko changa

Us bande ki baaton mein tu , kho sa jayega
Bin kahe hi tu kuch ,uska ho sa jayega

Chuu jayegi uski baatein tere dil ko, bina kuch kahe
Sochne lagega uski baaton ko tera dimaag, bina kuch kahe
Aankhon mein uski tujhe khuda hi khuda nazar aayega
Sar tera uske saamne khud-b-khud jhunk sa jayega

Us bande ki baaton mein tu , kho sa jayega
Bin kahe hi tu kuch ,uska ho sa jayega

Jo tune kar liya uski baaton pe haan amal
Phir dekhna tera prayaas kabhi jaayega na wifaal
Tujhko bhi haan phir zamana bulaayega
Sunega teri baaton ko aur tujhe dil me basaayega

Us bande ki baaton mein tu , kho sa jayega
Bin kahe hi tu kuch ,uska ho sa jayega

Khuda khud aata nahi
Khuda khud bolta nahi
Woh jo bhejta hai banda
Samajh gaya na ki woh kitna hai changa

Us bande ki baaton mein tu khud se kho jaana
Bin kuch kahe hi tu uska khud se ho jaana

Composed by Aamit

________________________________________