Thursday, August 25, 2011

Chadar Khuda Ki


Kabhi neeli chaadar keh ke dharti mujhe odh le
Kabhi geeli chadar ban ke main dharti ki pyaas bhujha du
Kabhi suraj ki agan ko main apne seene se jaga du
Toh kabhi chaand ki chandni ko main nadiyon me jagmaga du

Faila hu waha tak , jaha talak tu dekh sakta hai
In panchi ko , in baadalo ko , in peddo ko
Maine hi to panaah di hai

Sitare hai meri nabz aur dil mera sirf yeh chaand hai
In hawaon ko  , in fizaon ko , in ghataon ko
Maine hi to raah di hai

Kabhi shwetambar ban jaata hu
Toh kabhi neelambar kehlaata hu
Kabhi khud ko kala kar ke dusro ko sulata hu
Toh kabhi khud ro kar dusro ko hasata hu

Chahe koi dekhe na dekhe , mujhe sab dikh jaata hai
Woh khoon – kharaba , woh balatkaar , woh  pedd  katna
Meri nigahon se chup nahi paata hai

Sochta hu ki jo sadiyon pehle nazarein they
Woh pyaar , woh apnapan , woh sukoon
Mera aaj yeh dil kyu dekh nahi paata hai ???

Composed by Aamit

---------------------------------------------------------------------------------------------

Tuesday, August 16, 2011

Mere Desh Ki Katha

Hi Friends ,

This poem " Mere Desh Ki Katha " is on the present situation of our country as corruption is making our country down .

Now the time has come when we have to join together and fight for it else our country will remain the same as i have wrote in this poem.

Please do something for our country :-


                Mere Desh Ki Katha

Khilata , main khilata , main khilata chala gaya
Kabhi police ko , kabhi sarkari sevak ko , kabhi safed topi wale ko main khilata chala gaya

Socha tha maine ki nahi khilauga kuch bhi
Par wey to nikle yaar cricket ke balle ke jaise
Ball samjha mujhe aur laga diye chauke - chakke  jam ke
Pehle one day cricket khilaya phir test ki tarah bola five days me aap aana phir se

Chakkar , main chakkar , main chakkar lagata chala gaya
Kabhi office ke , kabhi authority ke , kabhi netaon ki kursi ke main lagata chala gaya

Toot gaye mere paragon ke majboot chappal bhi
Tabhi maine dekha paas khade aadmi ne pakdaya  hazar ka note
Aur kaam kara ke chal diya jaise de diya ho netaon ko unka vote
Tab samajh aaya mujhe india mein kaam karane ka tarika

Pilaata , main pilata , main pilata chala gaya
Kabhi chaprasi ko , kabhi police afsar ko , kabhi netaon ko main pilata chala gaya

Dekhta hu phir ghode ke paav lag gaye mere kaam pe
Jo kal tak rooka tha , aaj poora ho gaya aaram se
Paise to kharch hue par sharir to bach gaya
Wo chaar kilo jo  khoya tha chalte chalte , phir se sharir mein wapas bus gaya

Gaata , main gaata , main gaata chala gaya
Kabhi chaplusi , kabhi kaam karane ki khushi , kabhi aam aadmi ki zindagi ke geet gata chala gaya

Aam hai hum , aam ki tarah rehna padega
Kaam hai kum , unke paas unhe raza ki tarah sehna padega
Jo na saha tune to woh bahut chakkar katwayege
Aam ka ek – ek boond ras woh maaza samajh ke pi jayege

Phir baithe rehna aur jaana  bhagwaan ke paas
Kehna ki koi sunta nahi is desh mein sab hai paiso ke das
Waha bhi tujhse pujari yahi bolega
Agar kuch maangna hai to , kam se kam  chadha rupaiye pachas

Haan yahi india hai mera , jaha har kaam ke liye hoti paiso ki ardaas
Ab koi to kadam badhao yaaro aur  badal to  mere bharat ka itihaas

Haarta , main haarta , main haarta chala gaya
Kabhi bhrastachar se , kabhi atyachaar se , kabhi jhooth ke prahaar se main haarta chala gaya

Composed by Aamit

Monday, August 15, 2011

Murga Bola

Hi Friends

This poem " Murga Bola " is on the theme what a cock think at the shop of buther ( Kasai ) ,

Hope u all will agree with me on this , Read and comment


                  Murga Bola

Kehta hai murga kukad – koo karte hue
Kasai ki dukaan pe maut ki aahein bharte hue

Ab meri baari hai
Katne ki taiyaari hai , ab meri baari hai

Ja raha dekho mera dost mujhse pehle katne ke liye
Dhar chali churi ki aur kat gaya uska sar
Meri to aankhein choti hai dekh ke seham gayi
Par insaano ki haiwaniyat ne kisi ki bhi na suni

Gujarish bus itni si , ki usko na insaan tu itna sata
Gardan alag ho gayi uski , par ab jism ko na tu chil ke tadpa
Koi aisa tarika nikal jisse hum churi lagne se pehle hi marr jaye
Uska aisa haal dekh ke ab mera dil sirf yahi gaaye

Ab meri baari hai
Maut  ki taiyaari hai , ab meri baari hai

Koi baat nahi yaar , ho gaya ab main bhi katne ke liye taiyaar
Jauga main peth mein logo ke aur banuga unka aahar
Tariff karege meri jab woh khayege mujhe jam ke
Chalo kisi ke to kaam aauga main to haan maar ke

Shukar karuga insaano ka , ki mujhe is zindagi se aazaad karaya
Par ek baat hai , kya kabhi unke dimaag mein yeh na aaya
Ki aaj to wey  insaan hai , agle janam mein kahi na wey hi murge ban jaye
Aur phir meri tarah yahi geet wey dohraaye

Ab meri baari hai
Upar jaane ki taiyaari hai , ab meri baari hai

Chalo aa gaya mera waqt katne ka  yaar
Dua karuga ki bhagwaan na banaye tujhe murga aur na hi tu ye geet meri tarah gaye baar baar

Ab meri baari hai
Insaan ke pet mein jaane ki taiyaari hai , ab meri baari hai

Composed by Aamit

---------------------------------------------------------------------------------------------------



Thursday, August 4, 2011

Mujhe Bhi Dard Hota Hai

Hi Friends,

Daily crores of trees are cut and been used for many purposes , i had tried to write this poem on behalf of a tree, hope you all will like this

Mujhe Bhi Dard Hota Hai

Mere haatho roopi daali ko kaata
Mere pairo roopi jaron ko kaata
Kaat ke palang banaya
Darwaje banaye aur ghar me show case bana ke mujhe sajaya

Jaan nahi bejaan hu yeh kehte hai sab
Insaan nahi kaagaj banana wala samaan hu yeh kehte hai sab
Kaun samjhaye ki jaan nahi hoti to kaise main badhta
Phool aur fal dekar kaise main sabka peth bharta

Haan woh bhool gaya  mujhme jaroor aawaz daalna
Par iska matlab nahi usko main yaad nahi
Dekh raha wo upar se mujhe katthey hue
Baccho ki kitaab aur mujhse hi apna mandir bante hue

Pedd hu pedd ki aawaaz, to sirf wahi sunta hai
Chalti jab mujhpe kulhariyan , to sirf wahi rota hai
Kehta hai kaisa maine tujhko dard diya
Aawaaz to le li aur apne hi insaano se katne ka sard diya

Kabhi koi sune teri to unhe yeh batla dena
Jo tu khatam ho gaya duniya se to ye shristi ne bhi nahi bachna
Chahte hai wey jeena to tere saath hi hoga
Tu khatam ho gaya to unka ghar bhi kabhi aabad na hoga

Bolna unhe tumhe kharonch bhi lage to kaise dard hota hai
Yaha to dard ke saath saath mera bin bolne wala dil bhi rota hai
Main chala jauga nahi to ek din yaha se door
Phir tum bhi aana mujhse milne swarg me jaroor

Haan main kaala hoon par dil ka kaala nahi
Tumne kaanta mujhe par main tumhe kaatuga nahi
Waha bhi tumhe main aise hi phool aur fal duga
Tum ek baar pyaar se bolna , main phir se tumhare saath dharti pe chal duga

Composed by Aamit

------------------------------------------------------------------------------------






Tuesday, August 2, 2011

Paisa - Ek Naag

Hi Friends,

This poem is on the theme that money is not everything .....

Money takes many things from you , please read it and comment if you like


Paisa – Ek Naag

Paise ke piche mat bhaag
Paisa to hai jaise ek naag
Jitna fann woh failayega
Tu fasta chala jayega

Ek baar fus gaya to phir wapas nahi aayega
Paisa paisa bus paisa karta jayega

Yeh bahut jehrila hai
Yeh bahut nashila hai
Jhooth ka paath padhata hai
Apno se door karata hai

Waqt ko khaata jaata hai
Ghar-baar kuch samajh nahi aata hai
Saala jitna bhi aata hai
Mann bhar nahi paata hai

Paise ke piche mat bhaag
Paisa to hai jaise ek naag
Jitna fann woh failayega
Tu fasta chala jayega

Ek baar fus gaya to phir wapas nahi aayega
Paisa paisa bus paisa karta jayega

Jitna tu sharam ko bechega
Utna hi dusro se isey aithega
Chaplusi  ki duniya ka baaza hai
Aur politician ke ghotalo ka raaza hai

Jitna tu isey kamayega
Utna hi sharir se haath dho jaayega
Kasam se isse aish to milte hai
Par zindagi mein tention ke phool bhi jaroor khilte hai

Paiso ke piche mat bhaag
Paisa to hai jaise ek naag
Jitna fann woh failayega
Tu fasta chala jayega

Ek baar fus gaya to phir wapas nahi aayega
Paisa paisa bus paisa karta jayega

Hum bhool gaye hai ki
Naag bhi ek din marta hai
Woh apna sharir chodh kar
Upar bhagwaan mein hi wapas basta hai

Bus yeh sochna jara dil se
In paiso ki bori ko kaise tu upar le kar jayega
Kuch nahi le kar aaya tha
Phir kaise tu kuch le kar jaayega

Paise ke piche mat bhaag
Paisa to hai jaise ek naag
Jitna fann woh failayega
Tu fasta chala jayega

Ek baar fus gaya to phir wapas nahi aayega
Paisa paisa bus paisa karta jayega


Composed by Aamit

-----------------------------------------------------------

Monday, August 1, 2011

Waqt Badal Jayega

Hi Friends,

This Poem " Waqt Badal Jayega " is on the theme that time always change , if you are in sorrow today one day happiness will come surely in your life.

Please read and comment if you like this

Waqt  Badal Jayega

Sab kuch likha hai yaha pe
Tere har khushi ka pal
Tere gum ka har sitam

Tu jo bhi hai kare
Woh dekh raha waha
Sochta hai tu ki phir kyu  aanshu  barsa raha yaha

Par woh  bhi kya kare
Yeh tera naseeb hai
Pichle janam ka karam , tera badnaseeb hai

Mat kho na itna inme
Yeh paani hai , sukh jayege
Na bhi sukhe to haan moti kehlaayege

Kal phir woh waqt aayega
Jab tu khush ho jayega
Phir dekhna kaise tu usey apna banayega

Aise hi to zindagi yeh seekh deti hai
Ki tu yaha koi akela nahi
Aur Khud ko samjhaane ka ek geet deti hai

Is geet ko tu hosholo se gaata chala jaa
Phir dekhna khushi ka rukh mud chalega
Aur pyaar se tu har kisi ko  jeet chalega 

Composed By Aamit

----------------------------------------------------------------