Hi Friends,
This poem " Aids, Mujhe Kyu " is on a small boy suffering from Aids and asking to everyone what was his fault .......
Hope u all like this
AIDS , Mujhe Kyu
Baccha hoon main , Saccha hoon main
Par zindagi se thoda Kaccha hoon main
Dekhe har koi mujhe, par pass na aaye
Kehte hai sub, AIDS ka mareez hoon main
Pata nahi mujhe, yeh Aids kya hota
Par jo bhi hota, bahut bura hota
Koi mujhse milta nahi, koi saath khelta nahi
School bulata nahi , waqt tham jaata kahi
Maa se kehta hoon jab , doctor banna mujhe
Thoda padhna mujhe, thoda khelna mujhe
Sun kar jaane kyu, aankhein uski bhar jaati hai
Ro- ro kar, woh mujhe bus yeh samjhaati hai
Main hoon thoda alag, main hoon thoda juda
Meri zindagi ka maalik , toh hai bus woh khuda
Doctor bhi kehta hai , ab mere pass hai do –chaar din
Maa kehti hai , ab kaise rahugi main tere bin
Ro mat o maa , wapas aauga main
Khuda se mil kar ,usey samjhauga main
Mujhe bhej de dubara, haan tu maa ke pass
Par saath mein na bhejna,yeh Aids ka ehsaas
Baccha hoon main , Saccha hoon main
Par zindagi se thoda Kaccha hoon main
Composed by Aamit
------------------------------------------------------------------
Very sad and touching Amit. Very well written and expressed :)
ReplyDelete