Thursday, August 25, 2011

Chadar Khuda Ki


Kabhi neeli chaadar keh ke dharti mujhe odh le
Kabhi geeli chadar ban ke main dharti ki pyaas bhujha du
Kabhi suraj ki agan ko main apne seene se jaga du
Toh kabhi chaand ki chandni ko main nadiyon me jagmaga du

Faila hu waha tak , jaha talak tu dekh sakta hai
In panchi ko , in baadalo ko , in peddo ko
Maine hi to panaah di hai

Sitare hai meri nabz aur dil mera sirf yeh chaand hai
In hawaon ko  , in fizaon ko , in ghataon ko
Maine hi to raah di hai

Kabhi shwetambar ban jaata hu
Toh kabhi neelambar kehlaata hu
Kabhi khud ko kala kar ke dusro ko sulata hu
Toh kabhi khud ro kar dusro ko hasata hu

Chahe koi dekhe na dekhe , mujhe sab dikh jaata hai
Woh khoon – kharaba , woh balatkaar , woh  pedd  katna
Meri nigahon se chup nahi paata hai

Sochta hu ki jo sadiyon pehle nazarein they
Woh pyaar , woh apnapan , woh sukoon
Mera aaj yeh dil kyu dekh nahi paata hai ???

Composed by Aamit

---------------------------------------------------------------------------------------------

1 comment:

  1. <3 BAHOOT TAMAANNA THI, PYAAR MEIN AASHIYAN BANANE KI <3
    by Karan Taneja on Tuesday, August 30, 2011 at 1:50pm

    Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,

    Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.

    Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,

    Saza mili hai hume muskurane ki

    Hasraton pe rivaajo ka sakhta pehraa hai,

    Na jaane kaun si ummeed pe jaake yeh dil thehraa hai,

    Meri aankhonmein se chhalakte hue yeh ashk aur gam ki

    kasam;

    Mera yeh pyaar.... Bahot gehraa hai...

    Aansuo mein raat bhar rona para ,

    Tery milan sy to haath dhona para ,

    Tery milna tha khwaab mera ;

    Khwaab laany k liye sona para...

    Taarikh ke duniya mein kabhi aisa bhi dor aayi hai...

    Lamhon ne khata ke hai, Sadiyon ne sazaa paayi hai...

    Zindagi mein do he lamhe bari mushkil sy guzaary ,

    Ek tery aane sy pehlay.... or ek tery jaany k baad...

    ReplyDelete