Hi Friends,
Daily crores of trees are cut and been used for many purposes , i had tried to write this poem on behalf of a tree, hope you all will like this
Mujhe Bhi Dard Hota Hai
Mere haatho roopi daali ko kaata
Mere pairo roopi jaron ko kaata
Kaat ke palang banaya
Darwaje banaye aur ghar me show case bana ke mujhe sajaya
Jaan nahi bejaan hu yeh kehte hai sab
Insaan nahi kaagaj banana wala samaan hu yeh kehte hai sab
Kaun samjhaye ki jaan nahi hoti to kaise main badhta
Phool aur fal dekar kaise main sabka peth bharta
Haan woh bhool gaya mujhme jaroor aawaz daalna
Par iska matlab nahi usko main yaad nahi
Dekh raha wo upar se mujhe katthey hue
Baccho ki kitaab aur mujhse hi apna mandir bante hue
Pedd hu pedd ki aawaaz, to sirf wahi sunta hai
Chalti jab mujhpe kulhariyan , to sirf wahi rota hai
Kehta hai kaisa maine tujhko dard diya
Aawaaz to le li aur apne hi insaano se katne ka sard diya
Kabhi koi sune teri to unhe yeh batla dena
Jo tu khatam ho gaya duniya se to ye shristi ne bhi nahi bachna
Chahte hai wey jeena to tere saath hi hoga
Tu khatam ho gaya to unka ghar bhi kabhi aabad na hoga
Bolna unhe tumhe kharonch bhi lage to kaise dard hota hai
Yaha to dard ke saath saath mera bin bolne wala dil bhi rota hai
Main chala jauga nahi to ek din yaha se door
Phir tum bhi aana mujhse milne swarg me jaroor
Haan main kaala hoon par dil ka kaala nahi
Tumne kaanta mujhe par main tumhe kaatuga nahi
Waha bhi tumhe main aise hi phool aur fal duga
Tum ek baar pyaar se bolna , main phir se tumhare saath dharti pe chal duga
Composed by Aamit
------------------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment