Rang ve rang ve
Apne hi rang mein
Tune rangey kitne hi ang
Kuch ko kaala , kuch ko neela
Kar ke kiya tune rangeela
Par ek baat mujhko bata
Ye chupa raaz mujhko bata
Manushya ke badle rang kyu na dikhey
Kyu wo sabko ek se laagey
Shayad yahi duniya ka rang hai
Jo tere aage berang hai
Mooh se mithi boli saamne bole
Pith piche par sab pol hai khole
Shayad yahi duniya ki dawa hai
Ya phir chaplusi ki hawa hai
Rang ve rang ve
Apne hi rang mein
Tune rangey kitne hi ang
Aaj ye haal to kal kya hoga
Mooh ki churi se sab yuhi chalega
Aaj dusre ko rangne wale ko bhi
Kal rangne wala jaroor milega
Shayad isliye tujhe khuda ne alag banaya
Warna tu bhi kho jaata aur karta tu sabko tang
Holi ke dil yahi saare daar ke bolte
Bhaago dekho aa raha rang
Rang ve rang ve
Apne hi rang mein
Tune rangey kitne hi ang
Ye bhi sach hai
Teekha ban gaya
Tere aage duniya ka rang
----------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment