Sunday, March 27, 2011

Bura Hai Ahankaar

This poem “ Bura Hai Ahankaar “ is based on the theme of  persons who have full of ego and who believe that they are superior from everyone and whatever they do is always correct , but they forgot that there is also one power which is greater than them and that power is god power.

So here is the poem , read it and comment what you feel about this


     Bura Hai Ahankaar

Phoolon ne kaha patton se 
Tu ban ja dost mera
Tu rang le rang mera

Phir dekhna yeh sansaar teri tariff karega
Phir dekhna yeh sansaar bhagwaan ko tujhse pujega
Aashiq rakhega haathon mein aur mehbooba ko dega
Bin kahe hi woh tera naam khoob lega

Pattey ne jab suni phool ki yeh baat
Bola main nahi banuga dost tera
Main nahi ranguga rang tera

Kyuki  khush hu , main jaisa bhi hu
Haryaali ka rang “Hara”  main hi to hu

Socho phool sahab, agar main na hota
Toh tu khilta na aur har pal dhoop mein murjhaya sota
Chaav ki chaadar hu main in garibon ke liye
Jo main phool ban jauga to kaun karega kuch inke liye

Doston , humhaara bhi jeevan ho gaya hai phoolon ke jaisa
Kehte hai main main hu , tu chota hai , aur na koi hai mere jaisa
Ahankaar ka naag nas nas mein hai chalta
Woh jhuth bolta , har pal aatma ko hai dasta

      Chalo maan liya ki tu dharti ka raja hai
Par aasmaan pe bhi to dekh , tere upar bhi ek maharaja hai
Jo kar liya usne bhi ahankaar , to tera kya hoga
Woh aankh kholega teesri aur tu pal mein bhasm hoga

Mat ban tu phool, ban patton ke jaisa
De sabko thandi chaav , aur na kehla ab ahankaari aisa


Composed by Aamit

1 comment:

  1. ah vhai wonderful words by u ...hope to c more of ur poems in tis blog

    ReplyDelete