Saturday, January 15, 2011

Budhaapa - Ek Abhishaap

Hi Friends,

This poem is on the theme - Its all about leaving your parents in the old age.

I wrote it on the feeling of old man who has been left by his son , hope you like this poem and do comment once you read it

      Boodhapa – Ek Abhishaap



Main boodha , adhoora , tune maar diya mujhe poora
Zindagi se aise phenka , jaise main hu koi koora

Kabhi tu bhi meri ungali pakad ke khela tha
Kabhi tune bhi mere kandhon ko jam ke jhela tha
Aaj teri baari aayi to tune mooh modd liya
Sahara dene ke naam par in kandhon ko hi todd diya

Main boodha , adhoora , tune maar diya mujhe poora
Zindagi se aise phenka , jaise main hu koi koora

Papa kehta tha mujhko , aaj boodha keh raha
Sabko kehta hai aaj , main boodhe ko seh raha
Shukar hai teri maa aaj is duniya mein nahi
Warna keh deta yeh bhi ki budhiya tu abhi tak kyu hai yahi

Main boodha , adhoora , tune maar diya mujhe poora
Zindagi se aise phenka , jaise main hu koi koora

Mat bhool ki ek beta upar wale ne tujhe bhi hai diya
Dua karta hu ki wo na kare aisa , jaisa tune hai kiya
Dard hota hai mujhko , kya batau is kadar
Maut achi hoti hai shayad ,khuda ab kar de tu khatam yeh safar

Main boodha , adhoora , tune maar diya mujhe poora
Zindagi se aise phenka , jaise main hu koi koora



Composed by Aamit


-----------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment