Monday, January 24, 2011

Pyaaz Ka Kamaal

Hello Friends,

This poem “ Pyaaz ka kamala “ is based on the fact of side effects of rising onion prices .

Do u knw pyaaz also speak and will tell you the sideeffect of rising onion price in its own way and will let you know its not mistake of onion

So here is the poem , hope u guys like it and do comment on this


Pyaaz Ka Kamaal


Kal tak rulata tha yeh aankhon se
Aaj rula raha hai yeh dil se

Jeev (Tongue) ki na puccho haalat buri hai
Chicken-Mutton chodh ke yeh kha rahi curry hai
Dil ne to de diya hai apna hi farmaan
Pyaaz wali sabzi chahiye nahi to le lo meri jaan

Kal tak rulata tha yeh aankhon se
Aaj rula raha hai yeh dil se

Isne to rate record tode hai saare
Piche reh gaye chicken aur paneer bechaare
Iski stocking ka to aajkal chal pada hai kaam
Pyaaz pyaaz se bada TV News me ab na koi aur naam

Kal tak rulata tha yeh aankhon se
Aaj rula raha hai yeh dil se

Asli galti pyaaz ki hai, Ya hai sarkaar ki
Confuse hai duniya aur confuse hai yaar bhi
Munni ke baad hua bechara ab yeh badnaam
Par jinke kaaran badnaam hua, dekho unhe mil raha inaam

Kal tak rulata tha yeh aankhon se
Aaj ro raha hai khud apne naam se


Composed by Aamit


-----------------------------------------------------------------------

Saturday, January 15, 2011

Budhaapa - Ek Abhishaap

Hi Friends,

This poem is on the theme - Its all about leaving your parents in the old age.

I wrote it on the feeling of old man who has been left by his son , hope you like this poem and do comment once you read it

      Boodhapa – Ek Abhishaap



Main boodha , adhoora , tune maar diya mujhe poora
Zindagi se aise phenka , jaise main hu koi koora

Kabhi tu bhi meri ungali pakad ke khela tha
Kabhi tune bhi mere kandhon ko jam ke jhela tha
Aaj teri baari aayi to tune mooh modd liya
Sahara dene ke naam par in kandhon ko hi todd diya

Main boodha , adhoora , tune maar diya mujhe poora
Zindagi se aise phenka , jaise main hu koi koora

Papa kehta tha mujhko , aaj boodha keh raha
Sabko kehta hai aaj , main boodhe ko seh raha
Shukar hai teri maa aaj is duniya mein nahi
Warna keh deta yeh bhi ki budhiya tu abhi tak kyu hai yahi

Main boodha , adhoora , tune maar diya mujhe poora
Zindagi se aise phenka , jaise main hu koi koora

Mat bhool ki ek beta upar wale ne tujhe bhi hai diya
Dua karta hu ki wo na kare aisa , jaisa tune hai kiya
Dard hota hai mujhko , kya batau is kadar
Maut achi hoti hai shayad ,khuda ab kar de tu khatam yeh safar

Main boodha , adhoora , tune maar diya mujhe poora
Zindagi se aise phenka , jaise main hu koi koora



Composed by Aamit


-----------------------------------------------------------------------------------