Wednesday, July 24, 2013

Jab Tak Balla Chalta Hai


 

Jab tak balla chalta hai
Tab tak halla machta hai
Jis din tera balla shaant hua
Us din samjho sansaar tujhse ashaant hua

Jo kal tak tujhe shabhashi dete they
Aaj wey tujhse mooh churayege
Saamne to nahi par peeth piche
Kaam ka na raha , keh ke tujhe apni baton ka hissa banayege

Shayad phir tu sochega ki tune kya  paaya kya khoya
Jinko tune apna samjha tha , aaj tu unki baaton pe kitna roya
Ye unka kasoor nahi , kasoor to hai Is kaam ka
Jisne tune naam dilaya aur tera balla rukne ke baad kiya tujhe benaam sa

Jab tak balla chalta hai
Tab tak halla machta hai
Jis din tera balla shaant hua
Us din samjho sansaar tujhse ashaant hua

Sochna ab tujhe hai ki aage kya karna hai
Balle me phir se ufangi bharni hai
Duniya me phir se khade hona hai
Ya phir aise hi khud ko upar jaata dekh dekh ke marna hai

Misaal ban jayega tu har un logo ke liye
Agar khud ko tune maut wale bhagwaan se hai jeet liya
Maar bhi gaya to kya hua jaalim
Khud ko wapas khade karne ki koshish ka ehsaas to saath le jayega

Jab tak balla chalta hai
Tab tak halla machta hai
Jis din tera balla shaant hua
Us din samjho sansaar tujhse ashaant hua

Composed by Aamit

------------------------------------------------------------------------

Sunday, June 30, 2013

Ek Tu Hi To Hai Mera



Ek tu hi to hai mera , aur kaun hai
Ek tu hi to hai mera , aur kaun hai

Chota tha , jab rota tha
Baba ki ungali ban ke tune jahaan hai ghumaya
Maa ki baahein ban ke tune seene se hai lagaya

Bada hua , jab pairo pe khada hua
Dil me khud reh ke tune sachai ka paath padhaya
Duniya ke baaare me tune har paath hai sikhaya

Ek tu hi to hai mera , aur kaun hai
Ek tu hi to hai mera , aur kaun hai

Raah me jo kaatein aaye , wo tu nikalta gaya
Marham bhi aisa lagaya , ki kaaton ko phool banata gaya
Kisi ne mujhe kaha , ki duniya ki ab tu sunta nahi
Naadan hai , unhe pata bhi nahi ki tu unke saath hai wahi

Wo jo fakar karte hai , aur sochte ki khud ko unhone hai banaya
Bhool jaate hai ki , agar tu na ho to chalta nahi kisa ka bhi saaya
Aaj khush hai isliye tujhe bhool hai rahe
Par jab dhukhi hote hai to mandir me sabse pehle wahi hai khade

Ek tu hi to hai mera , aur kaun hai
Ek tu hi to hai mera , aur kaun hai

Imitihaan tu aise leta hai , ki lagti hai jaise saza
Par jaise hi paar lagata hai , aane lagta hai maza
Jo kiya maine karam , wo tu badal to na payega
Par itna to hai ki teri sharan me aane pe wo kam jaroor ho jayega

Aanshu jo mere girte hai ,dikhte to hai tujhe bhi
Unhe pochne ke liye , bhejta hai tu apna banda bhi
Har waqt tu dilaata hai mujhe apne hone ka ehsaas bhi
Aur batata hai ki koi na ho par tu hai humesha mere paas bhi

Ek tu hi to hai mera , aur kaun hai
Ek tu hi to hai mera , aur kaun hai