Friday, February 25, 2011

Beti Hoon Main , Koi Paap Nahi

Hello Friends,

This poem is one of my favourite poem which i have wrote from my heart .

This is on the theme on Female Foeticide , now a days most of the family wants only boy and killing girl babies , they dont ever think that this is a crime and if no women will be present in this world , how will baby boy come.

So friends here is the poem , read it by heart and comment on this


  Beti Hoon Main ,Koi Paap Nahi


Ek hai taare , dekho woh ek se saare
Beta-beti bhi ek hai , phir kyu betiyaan marti jaa rahe
Khuda bhi ro raha hai, Maa bhi ro rahi hai
Aankhon mein gumm bhare hai , ro rahe hai nazaare

Yaha aane se pehle beti, puchti hai khuda se
Sansaar tune banaya , ya banaya hai insaan ne
Maare woh humko jaise, hum unki santaan nahi hai
Darr lag raha hai , kahi waapas bhej na dey woh humhe yaha pe

Kaha phir us khuda ne , ki bhul gaya hai insaan
Jaha beti nahi hai , bata woh kaunsa hai jahaan
Waqt ek aisa aayega, “Aurat” shabd reh na jaayega
Phir puchuga insaan se , ab tu “Beta” laayega kaha se

Abhi bhi waqt hai , chodh do tum yeh tamaashe
Beti maarne se pehle , jara dekho tum ek maa ki nazar se
Nahi to main bula luga ,  ek bhi beti reh na jaayegi
Dharti khud narak ban jaayegi ,aur larkiyan sirf  rahegi swarg me

Ek hai taare , dekho woh ek se saare
Beta beti bhi ek hai , kaho ab tum bhi sab saath humhaare


Composed By Aamit

Naanch Nachaaye Paisa , Kuch Aisa

Hello Friends,

This poem is on the theme "A person who take bribe in his whole life and forgot everything about his life ,family $  for him only money is important , and he want to earn money by any means "

Do you think this type of person can live his life happily ?

Please read the below poem and comment


            Naanch Nachaaye Paisa, Kuch Aisa


            Barbaad kar di, tune zindagi
            Paise mein doob gayi, teri zindagi
           
            Kabhi idhar se hai khaaya
            Kabhi udhar se hai khaaya
            Paise ne dekh tujhko ,kaha kaha nachaaya

            Bhool gaya hai tu ki, tujhe upar bhi jaana hai
            Waha kaise khaayega, Jaha khuda ka thikaana hai

            Khaani to hai tujhko bhi, wahi daal aur roti
            Phir kyu todh raha hai, tu dusro ke paiso se boti

            Soch kitna tu dara tha, Soch kitna tu mara tha
            Jab pehli baar tune, paiso ka herr-pheer kara tha

            Ab to ho gaya kuch aisa,teri aatma bhi maange paisa
            Dhundne pe bhi nahi milega, koi khaane wala tere jaisa

            Aaj bhi hai waqt tere pass, chodh de paiso ka ehsaas
            Phir dekhna kitna sukoon milega,aur bujh jayegi teri pyaas
           
            Aabad kar le, tu apni zindagi
            Paise ko chodh ke , ab tu ji ley zindagi


            Composed By Aamit

           
            ____________________________________________
           

 

Saturday, February 12, 2011

Aazad ya Gulaam

Hi Friends,

This poem " Aazad Ya Gulaam " is based on the theme that we remember 15 Aug and 26 Jan just because its a national holiday/school holiday , and we are forgetting our freedom fighters and their family who fought for us .

After reading the below poem , please comment what u think about this and do u think have we really got the freedom ?
         

        Aazaad Ya Gulaam


Aazaad hua , Hindustaan , Aazaad hua
Aaz ke din  , Hindustaan , Aazaad hua

Par jinke kaaran aazaad hua , unke koi na ab jaane
Woh Chandarsekhar , Woh Bhagat Singh , unhe koi na ab pehchaane
Itihaas ke panno mein wey goom ho gaye hai
Gandhi ji sirf yaad hai kyuki woh noto pe chappe hai

Aazaad hua , Hindustaan , Aazaad hua
Aaz ke din  , Hindustaan , Aazaad hua

26 January , 15 August hai humhe yaad jaroor
Par hua kya tha is din , yeh ab humhe nahi pata hajoor
National holiday , school ki chutti milti hai , shayad isliye yaad humhe
Patang udaana , mauz manana , hai bus is din kaam humhe

Aazaad hua , Hindustaan , Aazaad hua
Aaz ke din  , Hindustaan , Aazaad hua

Jo hue they is din shahid , unke parivaar ki kisi ko fikar nahi
Bhool gaye hai sabko , ab unka is duniya mein koi jikar nahi
Mat bhoolo yaaro aaj bhi hum gulaam hai
Kyuki paise dene wali har MNC pe angrezo ka naam hai

Aazaad hua , Hindustaan , Aazaad hua
Aaz ke din  , Hindustaan , Aazaad hua



Composed by Aamit