Sunday, October 3, 2010

Khatam karo baal-majduri

This Poem " Khatam karo baal majduri " is on the theme of controlling child labour in india .

Why we believe that only government can control this child labour . we are the one who hire child as labour and play with their life . so we have to give ourselves a promise to control this.

Here is the poem on the child labour . so if you like it , please send it to as many you can because if this can help even a single child to become child not child labour , i think we have achieved the success ..



     Khatam Karo Baal Majduri

Tera beta tujhko sabse accha lagta hai
Teri beti tujhko sabse acchi lagti hai
Roz khilone roz chocolates tu unke liye laata hai
Har ghari tu unhe apne dil me basata hai

Jis bacchey se tu kaam karata, kya woh kisi ka beta nahi
Jis bacchi se tu ghar saaf karata, kya woh kisi ki beti nahi
Majboori ka fayda tu kyu unka uthata hai
Unhe do paise de kar, kyu unka bhagwaan ban jaata hai

Wey bhi bacchey hai, maan ke saachey hai
Takdeer se kacchey hai, par phir bhi acchey hai

Kabhi tu unki jagah apne baccho ko toh rakh ke dekh
Phir samajh aayega tujhko, un baccho ki badnasibi ka lekh
Padhna chahte, likhna chahte , khelna woh bhi chahte hai
Par kya kare ,tum jaise aamir unhe apna gulaam banate hai

Wey bhi bacchey hai , maan ke saachey hai
Takdeer se kacchey hai ,par phir bhi acchey hai

Sarkar ne jo neeyam banaye , usey todne me tum maahir ho
Kuch paise de kar kaam karane waale tum unke dil ke kaatil ho
Mat chodo sarkar pe aur kadam badhao us gareeb parivaar ki aur
Kuch paise do unhe inki padhai ke liye, taaki woh bh keh sake yeh ki

Mera beta mujhko sabse accha lagta hai
Meri beti mujhko sabse acchi lagti hai
Main galat tha jo inse itna kaam karata tha
Aur inke khelne ki umar se hi khelta jaata tha

Yeh bhi bacchey hai , maan ke saachey hai
Doctor engineer banauga inhe , yeh mere bacchey hai

Composed by Aamit