Saturday, November 20, 2010

Bhagwaan - Kharidey kyu

Hi Friends ,

This poem " bhagwaan - kharidey kyu" is based on the theme that nowadays people donate money and gold and think that they have purchased god and god will do what ever they will say to him.

Do you think that god need money , please comment on the poem after reading it.

So here is the poem

                       
           Bhagwaan – Kharide Kyu



Dhunde , patthar ki murat me tu bhagwaan
Chadaye , chadawa aur dikhaye tu usko shaan

Usko kya dega jisne tujhko sab kuch diya hai
Do pal bhakti ke de dey bus wahi to uska jiya hai

Na woh maangey heerey , aur na hi maange moti
Woh to maangta hai sirf pyaar ki jyoti
Na woh maangey dikhawa , aur na hi maange chadawa
Woh to maangta hai sirf dilo se bulaawa

Usko kya dega jisne tujhko sab kuch diya hai
Do pal bhakti ke de dey bus wahi to uska jiya hai

Mooh mein tere gaali , par uske saamne laali
Saza raha hai dekho , sone chaandi se uski thaali
Paise chadha ke samjhe , jaise tune usey kharida
Sewak ho gaya tera aur hai tujhpe woh fida

Usko kya dega jisne tujhko sab kuch diya hai
Do pal bhakti ke de dey bus wahi to uska jiya hai

Karna hi hai toh daan , tu kar waha pe
Gareeb bacchey aur besahara log , rehte ho jaha pe
Duayein unki tere paapo ko mitayegi
Aur tujhe sakshat rabb ke darshan karayegi

Usko kuch na dey jisne tujhko sab kuch diya hai
Do pal bhakti ke de dey bus wahi to uska jiya hai



Composed by Aamit


----------------------------------------------------------------------------

Sunday, October 3, 2010

Khatam karo baal-majduri

This Poem " Khatam karo baal majduri " is on the theme of controlling child labour in india .

Why we believe that only government can control this child labour . we are the one who hire child as labour and play with their life . so we have to give ourselves a promise to control this.

Here is the poem on the child labour . so if you like it , please send it to as many you can because if this can help even a single child to become child not child labour , i think we have achieved the success ..



     Khatam Karo Baal Majduri

Tera beta tujhko sabse accha lagta hai
Teri beti tujhko sabse acchi lagti hai
Roz khilone roz chocolates tu unke liye laata hai
Har ghari tu unhe apne dil me basata hai

Jis bacchey se tu kaam karata, kya woh kisi ka beta nahi
Jis bacchi se tu ghar saaf karata, kya woh kisi ki beti nahi
Majboori ka fayda tu kyu unka uthata hai
Unhe do paise de kar, kyu unka bhagwaan ban jaata hai

Wey bhi bacchey hai, maan ke saachey hai
Takdeer se kacchey hai, par phir bhi acchey hai

Kabhi tu unki jagah apne baccho ko toh rakh ke dekh
Phir samajh aayega tujhko, un baccho ki badnasibi ka lekh
Padhna chahte, likhna chahte , khelna woh bhi chahte hai
Par kya kare ,tum jaise aamir unhe apna gulaam banate hai

Wey bhi bacchey hai , maan ke saachey hai
Takdeer se kacchey hai ,par phir bhi acchey hai

Sarkar ne jo neeyam banaye , usey todne me tum maahir ho
Kuch paise de kar kaam karane waale tum unke dil ke kaatil ho
Mat chodo sarkar pe aur kadam badhao us gareeb parivaar ki aur
Kuch paise do unhe inki padhai ke liye, taaki woh bh keh sake yeh ki

Mera beta mujhko sabse accha lagta hai
Meri beti mujhko sabse acchi lagti hai
Main galat tha jo inse itna kaam karata tha
Aur inke khelne ki umar se hi khelta jaata tha

Yeh bhi bacchey hai , maan ke saachey hai
Doctor engineer banauga inhe , yeh mere bacchey hai

Composed by Aamit                                                                                                       

Saturday, September 4, 2010

Dil Sirf Tum

This poem " Dil Sirf Tum " is based on the feeling of a boy who had break-up with his girlfriend and through his words he wanna tell her gf that he wants her back, if not love then as friend.




             Dil Sirf Tum


Jab bhi teri yaad meri yaad me samati hai
Tab meri jabaan sirf tera naam gungunati hai
Tab mera dil sirf teri tasveer dikhata hai
Aur har pal us tasveer me kho sa jaata hai

Tu kya gayi , mera khuda cheen gaya
Mujhse mere jeene ki wajaah , cheen gaya

Charo taraf tu hi tu , bus tu nazar aati hai
Teri yaadein , teri baatein mujhe har waqt satati hai
Aankhein band karta hu , aur kholta hu tab bhi
Meri jaan tu khud-b-khud mere dil ki dhadkan ban jaati hai

Tu kya gayi , mera khuda cheen gaya
Mujhse mere jeene ki wajaah , cheen gaya

Pyaar me jo hamhaare beetey they pal
Jo kaatey they humne saath me , aey hamsafar
Bujh gaya jaane kyu wo mohabaat ka diya
Apni roshini se tu dey us mohabbat ko dosti ka naam , aey piya

Tu kya gayi , mera khuda cheen gaya
Mujhse mere jeene ki wajaah cheen gaya

Meri hawaon me tu apni dosti ki mehak bhar de
Us mehak se tu mujhe dubara zinda kar de
Waada karta hu tera saccha dost ban kar rahuga main
Pyaar na ban saka par achaa yaar ban kar ke is duniya se jauga main

Tu kya gayi , mera khuda cheen gaya
Mujhse mere jeene ki wajaah , cheen gaya

Composed by Aamit

Monday, August 23, 2010

School Ka Basta

Hi Friends,

I dont know how many friends agree with me on this definition of "School Ka Basta" , its my definition :P.

Please read the below said poem and comment ur views



School ka Basta


Kitaabo ki gaari hai
Baccho se bhi bhaari hai
Saare daar jaate hai
Haath mein jab uthate hai

School ka basta , basta , school ka basta
School ka basta , hai re , school ka basta

Bujhey mann ka shaitan yeh
Kandhon ka hai mehmaan yeh
Maa bhi khushi se taangti hai
Anjaane me baccho ki jaan nikaalti hai

School ka basta , basta , school ka basta
School ka basta , hai re , school ka basta

Lunch ki khusbhu khata yeh
Phir bhi nahi sharmata yeh
Subah subah manhus dikh jaata hai
Har bacho ko satata hai

School ka basta , basta , school ka basta
School ka basta , hai re , school ka basta

Sunday ko aaram karta yeh
Monday se phir pareshaan karta yeh
Kitaabo ka guard hai
Bahut hi smart hai

School ka basta , basta , school ka basta
School ka basta , hai re , school ka basta

Faadne ke baad bhi naya aa jaata hai
Papa ko bhi yeh khoob bhaata hai
Koi isko nahi le jaata hai
Kyu bachon ke liye chodh jaata hai

School ka basta , basta , school ka basta
School ka basta , hai re , school ka basta

Composed by Aamit